Posts

Showing posts with the label First Love

Mohabbat...

Unhoune dekha to najakat hain Hamane dekha to shararat hain Unhoune kaha to adab hain Hamane kaha to sabab hain Unka propose propose hain Hamara propose oppose hain Unhoune chaha to pyaar hain Hamane chaha to bekaar hain Unhoune cheda to ikraar hain Hamane cheda to takrar hain Unka comment deep hain Hamara comment cheap hain Kya kaare yahi to mohabbat hain Par for a change is baar yehi hakikat hain Ab yahi hamari sabse keemti amanat hain jisko sambhalte sambhalte hi kayamat hain ~ P Murlidhar Naidu

My Poem on First Love...

Pehla Pyaar jivan mein bahaar Khooshiyon ki fuhar Magar ho jaate hai mala mal Koi jaata hai bar Agar hoti hai taqrar Life ho jaati hai taar taar Jiski hoti hai naiyaa paar Voh ban jata hai star Ho jata hai alikhit karar Phir bhi, Kabhi kabhi hoti hai war Lekin kabhi nahi aati darar Kisiko padti hai maar To Koi hota hai in qatar To phir bhaiyaan, thoda ghoomao radar kam se kam ek baar to Lao jivan mein bahaar Ajmai lo kaisa hota hai pyaar Aur kya kahe Pehla Pyaar… Aisa hi hota hai yaar Bus Aisa hi hota hai yaar _ P Murlidhar Naidu.